Mein apni wafaoo ka sila mang rahi thi
Aik bewafa zalim sa wafa mang rahi thi
Jab apnay taee wo mujhat thukra hi chuka ha
Phir ajj ku may uski raza mang rahi thi
Ku bhool gai thi wo maseeha nahi mera
Ku us say may zakhmo ki dawa mang rahi thi
Yarab mujhay wo ab khabi bhi yaad na aayy
Kal raat hi to may ya dua mang rahi thi
Rustay ma wo bepurwah jab chor raha tha
Phir us say ku manzil ka pata mang rahi thi
Manzil ki justuju ma safar itna kia kay
Ab thak ka khuda say ma qaza mang rahi thi...