Yeh bat samajh mein ayi nahi
aur ammi ne samjhayi nahi
Main kyisse methi baat karoon
jab meethi cheez khayi nahi
Appa bhi pakati hein halwa
woh akher kiun halwayi nahi?
Yeh baat samajh mein ayi nahi.
Nani ke miyaan jab Nana hain
aur Dadi ke miyaan jab Dada hain
Tab appi se main ne poocha...
kya Baji ke miyaan Baja hein?
woh hanss hanss ker yuon bolien
aye bhai nahi yuon bhai nahi
Yeh baat samajh mein ayi nahi.
Jab naya mahina ata hai
bijli ka bill ajata hai....
halanke bechara badal
mufat mein bijli lutata hai
phiR hum ne apne ghar mein kiun
badal se bijli lagwayi nahi?
Yeh baat samajh mein ayi nahi.
Ger sher ki billi khala hai,
tu phir kuon usko hum ne pala hai?
kya sher bahut nalayq hai
jo khala ko maar baghaya hai?
Ya jangal ke Raja ke yahan..
kya milti dhood malayi nahi?
Yeh baat samajh mein ayi nahi.
Kiun lambe baal hein bhalo ke
kiun uski tindd kerwayi nahi?
kya woh bhi ganda bacha hai
ya uska baap aur bhai nahi?
Yeh uska hair style hai yah
jangal mein koi nayi nahi?
Yeh baat samajh mein ayi nahi.
Jo taare jagmag kerte hein
kya unki chachi tayi nahi?
huga koi rishta suraj se..
yeh baat humein batlayi nahi
Yeh Chand kis ka mamoon hai
jab Ammi ka koi bhai nahi?
Yeh baat samajh mein ayi nahi.