Kaho tou lot jaate hain
Abhi tou baat lamhoon tak hai sadiyun tak nahin aai,
Abhi muskaan ki nobat b hontoon tak nahin aai,
Abhi tak koi majboori kheyaloon tak nahin aai,
Abhi tou gard peroon tak hai baalun tak nahin aai,
Kaho tou lot jaate hain
Tumhara sath gar mil jaaey,
Tou zamaane se uljhna baat hi kia hai,
Agar tum chhor 2 mujhko meri oqat hi kia hai,
Mere baare main na socho tum apni baat batlao,
Kaho tou Chalte rehte hain,
Kaho tou lot jaate hain..